Ek Average aadmi ka example lia jaaye, vah average ya below average dikhta he, aam naukri Krta he, Ya to kisi toxic long term realtionship me hota he ya fir single hota he. Uske 60 ghante hafte ke bakwaas job krne me chle jate he or traffic se niklkr ghr pahunchne me. yeh sab wo sirf apna pet bhar paane ke lie krta he. Vah sirf apne kiraye ko bhugatne ke liye kaafi kamaata hai aur shayad agar uski kismat achhi hai to mahine mein kuch sau bacha bhi leta hai. Kuch log bilkul bachat nahi karte hain. Uske paas naam ke 2 dost he aur vah majboor hai pee kar apni sehat ko kharab karne ke liye,
Uske kaam ki tension uske baal safed aur ganje hone ke karan bnta hai, vah har roz subah 5 baje uth raha hai. Iska uske skin par bhi asar dikh raha hai. Uska boss har hafte use dhamki deta hai aur usse overtime ka kaam karne ke lie push karta hai. overall dekha jaye to yah ek bekaar zindagi hai. Sabhi raaste ek sad and depressing life ki taraf le kr jaa rha he.
Ab ek Instagram model, abhineta, ya professional athlete ko le lo,
Ye khushkismati wale log lakhon rupaye kama rahe hain apne 'kaam' ke liye. Unka kaam sirf achhe dikhe aur saal bhar peak performance mein rahein.
Ye log 0 stress ke saath uth te hain, unhein personal trainers aur elite dietitians bhi diye jate hain, pharma grade roids bhi milte hain. Unka poora din unke looks aur swasthya ko accha karne mein guzar jata hai. Unhein top tier skin treatments, supplements aadi ki suvidha bhi di jati hai, kuch bhi galat nahin ho sakta hai.
Iske alawa, ye safar unke liye safalta ka darja bhi lekar aata hai. Unhein har roz hazaron followers milte hain, blue Instagram tick milta hai, aur paisa bas aise hi aa raha hota hai. Maine kahin padha tha ki Nick Bateman ek Instagram post ke liye 41,09,325 rupaye kamaata hai. Jabki aam aadmi saal bhar usse bhi kam nahi kama pata.
In logo ke liye, har ek kadam, har kaam sirf unki safalta ko badhata hai. Wo hamesha behtar dikhte hai, unke followers badhte jaate hai, aur wo aur zyada paisa kama lete hai. Jabki ek aam aadmi din ba din nicha dhalta hai.
In logo ke liye sab kuch apne aap hi sahi jagah par aa jata hai. To make things even more difficult, jab ye gym jaate hai toh duniya bhar ke ladkiya unke DM mein hazaron message bhejti hai. Kuch log unsolicited nudes bhi bhej dete hai. In logo ko bahar jaane ki zarurat nahi hoti hai, unhein peene ki zarurat nahi hoti hai, aur unhein reject hone ki koi darr nahi hota hai. Inke 'kaam' ki wajah se hi itni saari ladkiya inke paas aati hai.
Jabki ek aam aadmi ko bataya jata hai ki khud ko behtar banana hoga aur ek din sahi ladki khud hi mil jayegi.
Agar ek aam aadmi sahi tarike se gym jaata hai ya steroids leta hai, toh bhi uska kuch nahi hota. Usse koi reward nahi milta hai. Wo sirf ek achhe sharir ke saath kaam jaata hai. Usko dikhane ka mauka bhi bahut kam milta hai. Iske kaaran uski kamai ya status badhta nahi hai. Aur saath hi saath usko apne 60 se jyada ghante ke kaam ke bahar bhi samay bitana padega. Isse uske paas khud ke liye practically koi free time nahi bachega.
Aam aadmi ke jeevan mein kuch bhi nahi hai. Yeh sab ek bada scam hai.