Key elements:
●Introduction:Does height matter?
●What determines your height?
●How to increase your height?(SECRET TIPS)
Introduction:does height matter?
●Ek study ke mutabik, modern ladakiya ya aurate apne se 8 inch ya 20 centimeters lamba mard jyada prefer karti hai. Kya ye baat yah nahi indicate karti ki baki logo se taller ya lamba hona aap ke liye ek massive advantage hai? aur us study se yah bhi pata chala ki 48.9% women lambe ladko ko hi prefer karti hai. Ab ye sab mai aapko kyu bata raha hu? kyu ki aapko ye pata hona chahiye ki aapki height below average ya average hai toh aapke looks ko improve karne ke baad bhi aap ki attractiveness jyada nhi badhegi. Toh ab aap kya kar sakte ho? height toh tumhare control me nahi hai, Tum bahut kuch kar sakte ho agar tumhari age below 20 hai toh. Mujhe pata hai height height genetics pe depend karti hai lekin sirf 80% height genetics pe depend karti hai, baki ki 20% height hormone, nutritions aur environment jaise factors pe depend karti hai. Aur jo log ye sochte hai ki "Ho sakta hai meri height shayad badh jaye lekin ye sab kar ke meri life me koi drastic change toh aayega nahi" toh un logo se mai ek question puchna chahunga.
●Which of the following women will be more confident with her partner?(Inme se kon si aurat apne partner ke sath jyada confident rahegi?)
A)
Is sawal ka 80% log Option A jawab denge. Ab toh aapko pata chal gaya ho gya ki height kyu important hai. Isse pehle ki mai aap ko kuch tips du height badhane ke liye jo definitely work karenge, pehle mai aapko ye bataunga ki aapki height kin kin factors par depend karti hai.
What determines your height?
●Aapki potential height aapke genetics ke saath-saath aapke environment,lifestyle,hormonal levels aur nutrition pe depend karti hai. Bahut baar aisa bhi hota hai ki child apne parents ki height ko surpass kar jata hai, ab aap puchoge ki aisa kaise hota hai. Agar aapke parents ki height choti hai lekin aapke blood relatives ki height jyada toh hai toh aapki bhi height jyada ho sakti hai. Aur agar aapki height apne dad/father ki height se bhi kam hai aur aap abhi 14-20 years old hai toh aap bade hi aasani se apne dad/father ki height ya unse jyada height ke ho sakte ho, aur normally har bacha apne dad/father ki height se kuch centimeters lamba hota hai.
●Ab baat karte hai environmental factors,lifestyle,hormonal levels aur nutrients kaise aapki potential height ko affect karti hai. Sabse pehle toh aap ko is baat ka dhyan rakhna hai ki aap jaruri nutrients consume kar rahe ho ki nahi, khas kar ke apne bachpan ya teenage me.
● Dusri baat, aap ko is baat ka dhyan rakhna hai ki aapko malnutrition ya kisi bhi vitamin ki deficiency nahi hai, bahut log is baat ko ignore kar dete hai jab ki jaruri nutrients consume karna height badhane se co-related hai.
● Teesri aur akhri baat jiska aap ko dhyan rakhna hai, aapko kabhi bhi kisi tarah ki bad habit nhi banani hai jaise ki smoking etc. Aap ko is baat ka bhi dhyan rakhna hai ki aap kisi tarah ke toxins ko consume nahi karna hai, is "TOXIN" word ke bare me aap agle section aur bhi details me janenge. Aur aap ko ye bhi samajhna padega ki stress bhi aapki potential height ko affect karti hai, iske baare me bhi aap agle section me details me jaan sakte ho.
How to increase your height?(SECRET TIPS)
● Growth hormone
Growth hormone yani ki wo hormones jo aapke muscle and bones development aur aapke height ke liye responsible hoti hai, unka aap ko khas dhyan rakhna hai. Growth hormones hi aapki growth ko control karte hai aur growth hormones ka proper amount me hona aapki growth ke liye necessary hai.
● Ab growth hormones ko boost kaise kare, aapko mai ek aisi exercise/activity batane ja rha hu wo aapke growth hormones ko 771% se boost kar dengi according to Dr. Eric Berg DC, Mai jis exercise/activity ka baat kar raha hu wo hai SPRINTING yani ki tej daudna. Aapko 20-30 seconds tak apni maximum speed me daudna hai aur phir 90 seconds ka rest lena hai aur is chij ko 8 times repeat karna hai.
● Lose body fat: agar aapko apne growth hormones ka level increase karna hai toh aapko body fat lose karna hi padega. Aapka belly fat aapke growth hormone levels se directly connected hai, studies ke mutabik jin logo ke pass jyada belly fat hota tha unke growth hormones ke level kam hote the.
● Quality sleep: growth hormones ka level increase karne ke liye aapko apni sleep pe dhyan dena hi padega. Growth hormone aapke pulses me directly release hote hai jab aap so rahe hote ho. Studies ke mutabik, kam sleep aapke growth hormone level ko kam kar sakta hai.
●Bulking
● Ab bulking se mera matlab ye nahi hai ki body fat gain karo, bulking se mera matlab hai ki jitna kha sakta ho khao lekin ek balanced diet bhi maintain karo jisme tum sare macronutrients and micronutrients consume kar rahe ho. Aur is baat ka bhi dhyan rakhna hai ki aap Unsaturated fat hi consume kar rhe ho.
●Macronutrients yani ki wo nutrients jo hame larger amounts me consume karne chahiye aur jo hame energy provide karte hai.
●macronutrients:
Carbohydrates: bread,beans,milk etc.
Protein: meat,fish,eggs etc.
Fat: nuts,seeds,vegetable oil etc.
● Micronutrients yani ki wo nutrients jo hame smaller amounts me consume karne chahiye lekin unka impact hamari body aur health pe bahut critical role hota hai, kisi bhi nutrient ki deficiency aapki health ko massively impact karta hai.
●micronutrients:
Water soluble minerals:
Vitamin B1 (thiamine): whole grains,meat,fish
Vitamin B2 (riboflavin): organ meats,eggs,milk
Vitamin B3 (niacin): meat,salmon,beans
Vitamin B5 (pantothenic acid): mushroom,tuna,organ meat
Vitamin B6 (pyridoxine): fish,milk,carrots
Vitamin B7 (biotin): eggs,almond,spinach
Vitamin B9 (folate): spinach,asparagus,black-eyed peas
Vitamin B12 (cobalamin): clams,fish,meat
Vitamin C (ascorbic acid): citrus fruits,bell peppers
Fat soluble vitamins
Vitamin A: sweet potatoes,carrots,spinach,fish
Vitamin D: sunlight,fish oil,milk
Vitamin E: sunflower seeds,wheat germ,almonds
Vitamin K: leafy greens,soybeans,pumpkin
Macrominerals
Calcium: Milk products, leafy greens, broccoli
phosphorus: Salmon, yogurt, turkey
magnesium: Almonds, cashews, black beans
sodium: Salt, processed foods, canned soup
chloride: Seaweed, salt, celery
potassium: Lentils, acorn squash, bananas
sulfur: Garlic, onions, Brussels sprouts, eggs, mineral water
Trace minerals
iron: Oysters, white beans, spinach
manganese: Pineapple, pecans, peanuts
copper: Liver, crabs, cashews
zinc: Oysters, crab, chickpeas
iodine: Seaweed, cod, yogurt
fluoride: Fruit juice, water, crab
selenium: Brazil nuts, sardines, ham
●Toxins and stress
●Ab mai aapko batana chahunga ki kaise ye chize aapki height ko affect karti hai. Toxins aur stress aapki height ko directly toh affect nahi karte but unka bhi aapki height pe ek important role rahta hai.
● Toxin hota kya hai? Toxins jahrile padarth hote hai jo plants aur animals ke bacteria se bante hai. Toxins aapke body ke cells or organs ko damage karte hai jo bahut sare health problems ki taraf lead kar sakta hai. Aur 14-20 saal ki umar me toxins ke sampark me aana aapke growth aur development ko affect kar sakti hai.
● Ab stress bhi aapki height ko affect kar sakti hai. Aapko physical aur mental strain dekar jo ki aapke blood pressure aur immune system ko negatively affect karta hai aur aapki sleep ko bhi affect karta hai jo ki aapki growth aur development ko bhi negatively affect karega.
Is it over you are below average height?
● Lekin jo log 20 years se jyada hai woh kya kare? Aur jo log 5ft 8 ya 5ft 5 se bhi kam hai wo log kya kare? wo log kaise public place me confident kaise rahe, toh un logo ko sabse pehle mai recommend karuga height insoles. Height insoles bahut jyada achi chiz hai aur wo cost-effective bhi hai. Last me I will recommend ki aap height insoles or height increasing shoes dono ek saath use kre aap easily 6inches height ek minute me increase kr skte hai. Or agar aapko lagta he ki yeh masculine cheez nhi he to yeh dekho
● Dusri chiz jo mai aapko recommend karunga hai ki aapko apna posture fix karna aur usem back exercises and leg exercises aapki bahut help karegi. Aur kuch posture corrector me paise barbad karne se acha aap khud apne posture ko fix karne ki koshish karo.
Conclusion
Jabki genetic factors kafi had tak humare control ke bahar hai lekin hum apne lifestyle,nutritional value etc mai change kar ke apne potential height ko maximize kar sakte hai. Aur mai hope karta ye knowledge aapke kaam aayegi aur mai aapko ensure kar sakta hu ki ye knowledge jo aapne abhi obtain ki hai wo bahut valuable kyuki mai personally 186 cm tall hu aur mai aapko bhi help karna chahta aapki ek better man banne me aur aapki self improvement ki journey me.